How To
Make Videos For Youtube? Gaming is Best in 2019 . How To Edit Video?
Videos banana bhi ek kala hai. Video
banane ka matlab apne ander ki kala ko dikhana hai. Jis tarah film director
producer apni kala ko dikhate hai aur deniya me famous ho gye hai usi prakar
aap bhi apne kala ko duniya ko dikha sakte hai lekin phir bhi kitne logo ko ye
pata nhi hota ki hame kya karna chahiye yani ki videos kaise banaye, to chaliye
batate hai…..
Eqipments-
Videos banane
ke liye sabse important camera hota hai. Agar aapka budget Low hai to aap apne
Smartphone ka camera le sakte hai. Kyoki aaj ke samay me sabhi ke pas me mobile
hota hai jinke camera bahut ache hote hai isliye aapke videos ki Quality kafi
achhi honi chahiye. Light ki baat kare to aap sunlight me kafi achhe se apne
videos ko shoot kar sakte hai. Mai to yahi suggest karunga ki aap 2pm se 5pm
aur 6am se 8am ke bich hi shoot kare.
Categories-
Ab aap soch
rahe honge ki hum videos banaye to aakhir kis prakar ki videos banaye. To iske
liye aap khud hi chuniye ki aap kaise aur kis prakar ki videos honi chahiye ki
logo ko usme interest aaye. Iske bawjud aap in categories ko dekh sakte hai
jaise Comedy, Entertainment, Technology, Vlogging, Health Tips and Tricks,
Computer
software, Education, News and politics and Gaming etc.
Agar aapko inme se kisi pe bhi videos banaye
ki ideas nhi to aap sabse aasan category Gaming kar sakte hai. Yani ki aapko
Game khelna hai aur uski videos banana hai. Sabse pahle ek “screen recorder”
app play store se download kijiye aur apne game ka screen record karke aasani
se videos bana sakte hai.
Iss samay me
Pubg game itna popular ho gya hai ki bahut se youtuber pubg khel kar hi
bahut famous ho gye hai. Mai to yahi suggest karunga ki aapke ander Talent hai
aur aapka interest jisme bhi ho aap wahi kare.
Editing-
Videos ko
sunder aur aakarshak banane me editing ka bahut bada haat hai. Editing ke dwara
hi video ko badhiya aur affected banaya ja sakta hai. Ab baat karte hai ki
editing kaise kare to aap apne phone me Kinemaster ya phir Powerdirector apps ko
dawnload kar sakte hai. Ye dono bahut hi achhe video editing apps hai. Agar aap
apne computer me editing karna chahte hai to aap Wondershare Filmora, Adove
Premire Pro, iMovie, Powerdirector, Sony Vegas Pro etc. jaise software ki madad
le sakte hai.
Yaad rakhe ki editing se kisi bhi video ko
achha banaya ja sakta hai isliye aap kosis kare ki editing achhi ho.
Music-
Music bhi
video me bahut important hota hai kyoki music se hi logo ka interest badhta
hai. Hamesha music ko emotion ke anusar lagana chahiye. Lekin aapko achhe se
music se related copyright rules ki follow karna hoga. Please aap kabhi bhi
kisi dusre ki music ka prayog na kare.
Pichhli post
me maine copyright rules ko achhe se bataya hai aap usko padh sakte hai.
Aap copyright
free music ka maza le sakte hai yaha se- Youtube Audio Library,
Nocopyrightmusic, music for creators etc.
Yaha se liye
gye sabhi music copyright free hai. Inka prayog aap apne kisi bhi video me kar
sakte hai. Note – bas unka link apne video description me rakh dijiye.
To ye raha
mera experience Videos banane ke kuch tips and tricks.
If you have
any questions then please comment below
Email: nikhilprajapati127@gmail.com
Hope you
understand very well. Nikhil Prajapati
Thanks for
reading.

Nice post
ReplyDelete